Archive for March, 2010
Andheron Main
Hum to moujood thy andheron main ujalon ki tarha
tum ne chaha hi nahi chahny walon ki tarha
…
Mil gaya koi
Meri palkon pe tery khawab rakh gaya koi
meri sanson pe tera nam likh gaya koi
chalo ye wada raha tmhen bhool jaenge
ager tumsa is dunya main mil gaya koi
…
Kuch Din
Chalo kuch din k liye dunya chor dety hain faraz
suna hai log bohat yaad kerty hai chaly jany k bahd
…
Phool
phool shakh se bichry to kahin ka nahi rehta Wasi
tum khud ko juda meri zaat se kuch soch k kerna
…
Wo wesa nahi raha
os sy juda to ho gaya per un laga mujhy
jesy jahan main koi apna nahin raha
wo bewafa nahin mager itna zaroor hai
pehly wo jis terha ka tha ab wesa nahi raha
…
Meherban…
Ager wo meherban hota
to meri ankh main na jhilmilati si nami hoti
na mery dil li wadi main Hizan ka qafla rukta
wo meri benoor ankhon main sitary qaid ker deta
meri zakhmi hatheli pe wo koi phool rakh deta
mery hathon ko apny hathon main le ker
wo ye kehta…
Mohabat roshni hai, rang hai, khushbu hai, sitara hai
Qasam mujhko mohabat ki mujhy tu sab se payara hai
mager aisa wo tab kehta
Ager wo Meherban hota…
…
Poochte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai
puuchhte ho to suno kaise basar hotii hai
raat Khairaat kii sadqe kii sahar hotii hai
saaNs bhrane ko to jiinaa nahiiN kahte yaa rab
dil hii dukhtaa hai na ab aastiiN tar hotii hai
jaise jaagii hu?ii aaNkhoN meN chubheN kaaNch ke Khvaab
raat is tarah diivaanoN kii basar hotii hai
Gham hii dushman hai meraa Gham hii ko dil DhuuNDhataa hai
ek lamhe kii judaa?ii bhii agar hotii hai
ek markaz kii talaash ek bhaTakatii Khushbuu
kabhii manzil kabhii tamhiid-e-safar hotii hai
…
Kahan Ho Chale Aao Mohabbat Ka Taqaza Hai
Kaha Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumhay Dil Nay Pukara Hay
Tumhari Be Rukhi Ak Din Hamari Jaan Lay Lay Gi
Qasam Tum Ko Zara Socho Keh Dastoor -e- Wafa Kia Hay
Na Janay Kis Liye Dunya Ki Nazray Phir Gaii Ham Say
Tumhay Dekha Tumhay Chaha Qasoor Is Kay Siwa Kia Hay
Na Hay Faryaad Honton Per Na Aankhon Main Koii Aansoo
Zamanay Say Mila Jo Ghum Us Nay DIL Ko Mitaya Hay
Kaha Ho Tum Chalay Aao Mohabbat Ka Taqaza Hay
Ghum -e- Dunya Say Ghabra Kar Tumay DIL Nay Pukara Hay
…
Apni Hansi Pe Aata Hai Ghusa
Kabhi apni hasi par aataa hai gussaa,
Kabhi saare jag ko hasaane ko jee chaahtaa hai..
Kabhi rota nahi main badi badi baaton par,
Kabhi yun hi aansoo bahaane ko jee chaahtaa hai..
Kabhi accha lagtaa hai aakash mein udnaa,
Kabhi kisi bandhan mein bandh jaane ko jee chaahtaa hai..
Kabhi apne bhi lagte hain begaane se,
Kabhi begaano ko bhi apnaane ko jee chaahtaa hai..
Kabhi mann chaahe saaree duniyaa ki daulat,
Kabhi apni bhi gawaane ko jee chaahtaa hai..
Kabhi mann chaahe nayaa jeevan,
Kabhi ise bhi mitaane ko jee chaahtaa hai..
…
Lakeeron Ko Mita Deta
Kahan* Mumkin Tha Mein Dil Se Teri Yadein Mitta Deta
Bhala Kese Mein Jeeta Phir Agr Tujh Ko Bhula Deta,
Teri Ruswaiyoon K Darr Se “Laboon” Ko Si Lya Wrna,
Tere Shehr e Munafiq Ki Mein Bunyadein Hilla Daita,
Kia Tarrk e Wafa Us Ne Tu Hogi Uss Ki Majboori,
Jisay Barsoon “duaa” Di Thi Ose Kia Bud-Dua Deta,
“Khabar” hoti Agr Mujh Ko Nhi Hy Tu Muqaddar Mein,
Osii Lamhay Main “Hathon” Ki Lakiron Ko Mita Deta*
…
Tum Ko Apna Banana Chahta Hoon
…
Log Toot Jate Hain
log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.N jalaane me.n
aur jaam TuuTe.nge is sharaab-Khaane me.n
mausamo.n ke aane me.n mausamo.n ke jaane me.n
har dha.Dakate patthar ko log dil samajhate hai.n
umr biit jaatii hai dil ko dil banaane me.n
faaKhtaa kii majabuurii ye bhii kah nahii.n sakatii
kaun saa.Np rakhataa hai usake aashiyaane me.n
duusarii ko_ii la.Dakii zindagii me.n aayegii
kitanii der lagatii hai usako bhuul jaane me.n
…
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more .



