Mujhe Apne Zabt Pe Naaz

Mujhe Apne Zabt Pe N..

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sare Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua

Meri Zindagi Ke Charagh Ka Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin
Kabhi Raushni, Kabhi Teergi, Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua

Mujhe Raaste Mein Pada Hua Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua, Kahin Aansuon Se Mita Hua

Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye, Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log The Mere Ghar Se Ghar Mila Hua

Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi, To Shikasta Haal Meri Tarah
Kahin Raaston Ka Lutaa Hua Kahin Manzilon Ka Thaka Hua


send poetry

Aansoo Shayari
July 17th, 2009

2 comment

  1. Bad e saba se kene aya hun
    dil ke badle dil lene aya hun
    teri dori sahi na jay gi mujse
    faqet is liye khushiyan dene or gum lene aya hun

  2. full nhi hai likhi huii ye ghazal

Comment here

Your Comment: