Bhula Dijiyey Mujhay

Bhula Dijiyey Mujhay..

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay

Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay

Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash?heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay

Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay

Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay


send poetry

Bewafa Shayari
July 17th, 2009

5 comment

  1. KaMaL Ki ShAaYaRiE The MiS or SiR WaAa…:I’M On FaCeBoOk HeArTeR AzEe ID.tCK

  2. min ne chaha hai tuj ko tun ne chaha hai kisi or ko .tun ne chaha hai jis ko khoda karye woh chahe kisi or ko.

  3. ye duaa hai meri keh tun bhi atesh-e- isheq min jelaa karye .hesnaa naseeb nahoo tujhe tarye dil min derd uthaa karye .tarye samney tera gher jelay tera bus chelye na tun bujhaa seke. Buss tarye muun se yehi duaa niklaye keh gher kisi ka na jelaa kerye.

  4. wah janab wah kia bat he gr8

  5. Great yar great

Comment here

Your Comment: