Jo Zakham tu ne Diye
jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain
charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain
yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust
sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain
nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main
siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain
ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo
khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain
najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey!
nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain
yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain
darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad
kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.
January 27, 2010
Tags: ghazal Posted in: Bewafa Shayari, Dard Bhari Shayari, Ghazal Shayari
More Shayari
- Lakeeron Ko Mita Deta
- Tum Ko Apna Banana Chahta Hoon
- Log Toot Jate Hain
- Koi Khawb ho ya Azaab Ho
- Phoolon Ko Aag Lag Gayi
- Mujhko Dard se Inkaar Karna Parta Hai
- kabhi kabhi
- Labon pe phool khiltay hain
- Wo kuchh kahen na kahen aankh muskura daigi
- Meri chahat ka safar is liye dushwar raha
- Tujh se tere koochey se agar door hue hain
- Ma kise suna raha hoon ye ghazal mohabbaton ki
- Main mohabbat to kar betha hoon magar
- Zindagi Yoon Huyi Basar Tanha
- Bohat bechain rehti hay tabiat ik muddat say
- baat phulon ki suna karte thy
- Main samundron ka mizaj houn
- Main yaad aaaon ga
- sochti hun aksar
- Sitam yeh na tha…

Leave a Reply