chup hai har waqt ka rone waala
chup hai har waqt ka rone waala;
kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
sakht-jaan? kitna hai rone waala.
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
haar phoolon ke pirone waala.
kho gayaa dard ki tasweeron mein;
pyaar ke rang bhigone waala.
fasl ashqon ki ug aayee kaise;
kyaa kahe ?kahkahe bone waala.
baant-ta firta hai auron ko hansee;
khud ko ashqon mein dubone waala.
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum;
ho rahega hai jo hone waala.
SHAUQ !?tum jiske liye marte ho?
..wo?tumhaaraa nahin hone waala?
More Urdu Poetry:
- Aasoo Aa Jate Hain Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle Her...
- Dosto Se Kuchh Kaam Ab Hamen Bhi Aa Pada Hai Dosto Se Kuchh Kaam...
- MUHABBAT KO MUHABBAT KA ZARA EHSAAS HONE DO MUHABBAT KO MUHABBAT KA ZARA EHSAAS HONE DO ABHI KUCH...
- Ankhon Mein Sama Jao Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna Taron...
- Aankhon Se Kaha Karna Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna Taron...
- Waqt Ki Raftar Pe Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare Kabhi Use...
- hum ahl-e-mohabbat par woh waqt bhii aaye hein hum ahl-e-mohabbat par woh waqt bhii aaye hein khud qatl...
- Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar! Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge Dil vo bemehar...
- Aankhain Bhi Ek Dariya Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain Sab Jaanti Hoon...
Advertisement














