Shaam hony do

Shaam hony do..

Abhi sooraj nahin dooba, zara see shaam hone do,
Main khud hi lot jaaonga, mujhe NAKAAM hone do.

Mujhe bad-naam kerne k, bahaane dhoondte ho kyun?
Main khud ho jaaonga bad-naam, pehle naam hone do.

Abhi mujh ko nahin kerna hai, Aetraaf-e SHIKAST,
Main sab tasleem ker loonga, ye charcha aam hone do.
Mohabbat roog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi rooti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb ley jaa ker
yeh kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isey tum dil ki dhurti ka pata mut do
yeh is mein dard booti hai kaha bhi tha
mohabbat k baad kushi mein ghum ki rut
buhat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roone se bhi kya hasil
buhat nayaab mooti hai kaha bhi tha
azul se is ki fitrut hai zamane ko
jaga ker khud sooti hai kaha bhi tha
yeh sir se paaon tuk bas raakh kerdeygi
BUHAT BEY DARD HOTI HAI KAHA BHI THA !!!!


send poetry

Dard Bhari Shayari
April 15th, 2010

Comment here

Your Comment: