Tumhain Hum Pyar Karty Hain. . !

Tumhain Hum Pyar Kar..

Suno Janaa’n
Boht be-sakooni hai hamari zaat mein
Boht masroof rehna parr raha hai. .
Boht se kaam hain
Jo apny zimmay ley rakhay hain
Magar, inhi saray jhamelo’n mein
Tumhari yaad ka wo aik jugnu, ab chamkay to
Ye aankhain bheeg jati hain.
Tumhari yaad k roshan sitaray timtimatay hain
Tou dil bujh sa jata hai
Hawa ko sub pata hai
Mery dil ki khabar hai
Meri palkon k aansu
Khud mein jazb kar k num c ho jati hai. . !

Suno Janaa’n
Boht hi be-sakooni hai hamari zaat mein
Lekin
Tumhain hum yaad karty hain
Tumhain ab bhi
Boht hum pyar karty hain.


send poetry

Dard Bhari Shayari, Ishq Shayari
July 1st, 2013

Comment here

Your Comment: