Urdu Poetry
Dukh Anmol Hotey Hain
dukh anmol hoty hain
kudrat ki wadieat hoty hain
kabi kuch dy k jaty hain
kabi sab cheen laty hain
kabi bychain karty hain
kabi jeena sikhaty hian
kabi banty hain jab aansu
umar bhar lahu rulaty hain
kabi lab ki hansi ban kar
naie dunia sajaty hain
kabi meethi kasak ban kar
anjani khalash ban kar
makeen-e-dil ye banty hain
kisi surat nhi mitty
jo in sy door bhago to
kahin jany nhi daity
na zinda rehny daity hain
na ye azad karty hain
nhi jis ki dwa koi
ye aisa dard hoty hain
magar ye b haqeqat hy
har ik ko to nhi milty
bary nayab hoty hain
dukh anmol hoty hain
<< SAD POETRY
Share your Feelings with us at Ranjish Forums
sher o shayari, urdu poetry, urdu shayari, urdu sher, urdu sad poetry, urdu dird poetry, urdu gham poetry, urdu sad shayari

