Ab eid manaata koi nahin..

Ab eid manaata koi n..

Saarey sheher mein,
Kal eid thi,
Baarish mein bheegi thi,
Ke shayed royi thi,
Bohat udaas eid thi,
Usey bhi shayed kisi ki,
Tamanaa-e-deed thi,
Be’kal si mere ghar ke aas paas,
Pareshaan phir rahi thi,
Dil per parre aahini qufl*,
Dar per dikhayi diye hon ge,
Jo aangan main jhaanka to,
Be’hanaayi hath,
Binaa kisi ke sath,
Na ghar ki sajaawatt,
Na rangeen poshaak*,
Dekh kar sab,
Socha hoga,
Shayed is ghar mein,
Sapne sajaata koi nahin,
Bahar se aata koi nahin,
Aur kisi ki yaad main kho kar,
Ab eid manaata koi nahin,
Ab eid manaata koi nahin…

(aahini qufl:iron lock, lohey ka taala)(poshaak:suit, kaprron ka jorra)


send poetry

Eid Shayari, Video Shayari
October 13th, 2014

5 comment

  1. Amazing

  2. Really Too much nice poetry

  3. oho

  4. Nice

  5. very nice.

Comment here

Your Comment: