Uncle uncle baat suno na.. Eid Ka Din Hai..

Uncle uncle baat sun..

Uncle uncle baat suno na,
Lambi gari wale uncle,
Eid ka din hai,
Meri umar ke saray bache,
Rang barange kaprre pehne,
Cham cham karte mehnge jootay,
Barre barre noton ki eidi,
Kitne khush hain,
Dekhen mere paaon bareeda,
Paaon main yeh tooti chappal,
Koi barra na koi eidi,
Phir bhi khush hoon,

Lekin uncle,
Woh jo us deewar ke paas,
Ik chaar barrass ki bachi haina,
Meri choti behna hai woh,
Koorra-daan se us ki khatir,
Aik hi paaon ke do jootay,
Aur barri kothi se utran ke kaprre laya hoon,

Lekin pagli kehti hai ke,
Bhaiyya mujh ko kangan la do,
Dekhen uncle,
Meri jaib main chand rupay hain,
Thehren main ginta hon in ko,
Dus ka note aur chand ik sikkay,
Kul mila kar satra (17) hain,
Teen (3) rupay bas de dain mujh ko,
Main apni choti behna ko,
Dus dus (10) ke do kangan laa doon,
Uncle uncle baat suno na,
Lambi gari walay uncle..

Video: Eid Ka Din Hai.









Ranjish.com is back with another marvelous Urdu Nazam about Eid. This Eid Poetry is about remembering children who are tricked in to child labor and begging and are unable to celebrate Eid Festival.


send poetry

Eid Shayari, Video Shayari
July 6th, 2016

One comment

  1. My almighty Allah gave them every happyniss of Eid

Comment here

Your Comment: