Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye.

Aahan ki surkh taal ..

Aahan ki surkh taal pe ham raqss kar gaye,
Taqdeer teri chaal pe hum raqss kar gaye,

Panchhii bane to rifat-e-aflaak par urre,
Ehl-e-zameen ke haal pe ham raqss kar gaye,

Kaanton se ehtijaaj kiya hai kuch is tarah,
Gulshan kii ddaal ddaal pe hum raqss kar gaye,

Vaayez fareb-e-shoq ne hum ko lubhaa liya,
Firdous ke khayaal pe ham raqss kar gaye,

Har aitbar husn-e-nazar se guzar gaye,
Har halqa-e-haa-e-jaal pe ham raqss kar gaye,

Maanga bhi kya to qatra-e-chashm-e-tasarufaat,
Saaghar tere sawaal pe hum raqss kar gaye..


send poetry

Ghazal Shayari, Saghar Siddiqui
March 21st, 2015

One comment

  1. Why could not I copy poetry from this website. I love your collection please allow users to copy or option of share as a message to facebook

Comment here

Your Comment: