ankhein bheeg jati hain

ankhein bheeg jati h..

Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey
Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai
Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain
Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey
kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain


send poetry

Ghazal Shayari
October 10th, 2010

2 comment

  1. teri judai ka manzar yaad karata hoon to ankhein bheeg jati hain
    bichar kar tujh se jab loat raha tha ghar ki janib wo manzar yaad karta hoon to ankhein bheeg jati hain

    wo bhi ek waqakt tha ke dono sath rehtey the juda na honge khabi hum ye kehty the
    us waqakat ko yaad karta hoon to ankhein bheeg jati hain

    jahan par beth kar hum piyaar ki baten karte the
    main aksar wahan se guzrta hoon to ankhein bheeg jati hain

    wo mujhe dekh kar tera muskura dena wo ankhen japka dena
    wo akhein yaad karta hoon to akhein bheeg jati hain

    tumhari ankhon main sajta tha bohat hi kajal
    jab bhi kajal lagta hoon to ankhen bheeg jati hain

  2. SHayari ALI khan

Comment here

Your Comment: