Apne angan main

Apne angan main..

Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do…

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do…

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do…

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do…

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do.


send poetry

Ghazal Shayari
March 7th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »