Aur main
Aur main..
khirki, chand, kitab aur main,
mudat se ik baab aur main.
shab bhar khelen aapas main,
do ankhen, ik khowab aur main.
……
mauj aur kashti sahil par,
darya main gardaab aur main.
shaam, udaasi, khamoshi,
kuch kankar, talab aur main.
har shab pakray jatay hain,
gehri neend, tere khowab aur MAIN…..!
Ghazal Shayari
February 14th, 2011
Comment here
Next: Bikharta Phool »