Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum..

Bohat tanha hua hoon..

Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jaao tum,

Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha,
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein,
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar,
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jaao tum,

Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka,
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jaao tum..

Sajid Hashmi


send poetry

Ghazal Shayari
August 10th, 2015

One comment

  1. ?Na meri hasraton ka zawaal kar, sar-e-bazm izzat uchaal kar,
    Yun muhabbaton ka sila na de, mujhe dill se apne nikaal kar,

    Tujhe hi dard-e-dill ka pata na ho, mere gham ki koi dawa na ho,
    Na bhiga tu chashm ko aab se, na mere dukhon ka malal kar,

    Hain guzar rahe bekaraar din, hain zindagi ke jo chaar din,
    Zara rahem kar tu mere haal par, na mujhse koi sawaal kar,

    Nahi karni tujhko wafa na kar, tu mere sath lekin bura na kar,
    Jo tu ne ishq me khaayi thi kabhi, zara us qasam ka khayaal kar,

    Kabhi aayega jo uska kaasid, tu kehna usko bass itna Sajid,
    Thik hai tera beemar-e-gham, tu sanam apni tabiyyat bahaal kar….

Comment here

Your Comment: