Chirag-e-Shab

Chirag-e-Shab..

Chirag-e-Shab Ko Jese
Aandhiya’n Achi Nahi Lagti’n

Kuch Aise Hi Humei’n
Khush-Fehmiya’n Achi Nahi Lagti’n

Jinhe’n Sonay k Pinjrey Mein
Ghiza Mil Jaye Chaandi Ki

Unhei’n Phir Umr Bhar
Aazadiya’n Achi Nahi Lagti’n

Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham
Ne Derey Daal Rakhy Hon

Unhe’n Phoolo’n Pe Bethi Hui
Titliya’n Achi Nahi Lagti’n

Mera Dil Chahta Hy Unhe’n
Aaena Dikhao’n MOHSIN

Wo Jin Ko Doosro’n Ki
Khoobiya’n Achi Nahi Lagti’n … !!!


send poetry

Ghazal Shayari
October 18th, 2011

4 comment

  1. sabki shairi boht nice he

  2. Chiraag lekar dhundhne nikle hain wo mujhe….
    Unhe koi bataye chiraag tale andhera hota hai…!

  3. Woh mehfil mein aye thay itna tow Hum ne dekha….
    ..
    Pher us k bhad chiraghon mein Roshni na rehi………

  4. Chiragh e shab is not mohsin’s poem…

Comment here

Your Comment: