Chunne gaye jab se meri palkon se khwab saare..

Chunne gaye jab se m..

Chunne gaye jab se meri palkon se khwab saare,
Pareshaan hain dil-o-nazar ke mahtaab saare,

Kis qadar an’khille aur be’rang they,
Dekho yeh sard mausmon ke gulaab saare,

Tum to thehre sehel raaston ke musaafir,
Woh raaste bhi to azaab saare,

Fareb-e-nazar to kabhi noor-e-nazar,
Bakhshe hain tu ne hi to khitaab saare,

Tumhen yaad hain chaahton ke puraane sabaq,
Hamari baari badal gaye nisaab saare,

Doori mein haayel yeh pardaa acha tha,
Jo barrha qurb ho gaye hatam hijaab saare,

Zindagi ki uljhan se uljhe hain jab se,
Bikhar gaye hain tamanaaon ke khawb saare,

Jab se mila woh hum se Rubaab,
Aankhon se utar aaye saraab saare..


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari
October 12th, 2014

11 comment

  1. Mre hath ki lakeeron me wo jal hai”kami”
    Jaise ma choo loon wo mra nai rehta””

  2. Bri he belagham c ho gai hain mri ankhein”kami”
    Tri deed k masalsal bahanay dhundti rehti hain””

  3. Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
    Tu hukm de to tera intezaar hi na karoon,
    Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
    Ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karoon…
    dönor pappu yadav with Raj Prince yogia chowk jaynagar

  4. Acche-accho ne hamare aage paani bhara hai,
    acche-accho ne hamaare aage paani bhara hai,
    kyunki sarkaari nal hamare ghar ke saamne hi laga hai.
    Donor pappu yadav with Raj Prince yogia chowk jaynagar 8541015094

  5. Arz kiya hai- jis bus mein baithi ho haseenaaye,
    us bus ke shishe chatak jaate hai, driver chahe jitni tej chalaye, dewaane fir bhi latak jaate hain.
    Donor pappu yadav from yogia chowk jaynagar

  6. Arz kiya hai –
    Dil hai sachha aur dimaag hai kaccha wah wah wah. Dil hai sachha aur dimaagh hai kaccha..
    tere messages nahi aa rahe kya baat hai bachha.
    Donor pappu yadav from jaynagar yogia chowk8541015094

  7. nice Poetry

  8. youn to mere sher zamany k lie hain ………………

    Kuch Sher Faqt unko sunany k lie hain…………..

  9. So nice

  10. outstanding

  11. Awla

Comment here

Your Comment: