Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye..

Chup chup ke mohabba..

Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye,
Jo kaam kiya jaye sar-e-aam kiya jaaye,

Yeh dil ke tere baad behelta hi nahin hai,
Ab tuu hi bata kese isse raam kiya jaaye,

Yeh to mere harfon ka taqaaza hai meri jaan,
Jo sher likha jaaye tere naaam kiya jaaye,

Thhak haar ke kal shaam kaha tha yeh hawa ne,
Awaara parindon ko teh-daam kiya jaaye,

Kya fayeda phir aesi jawani ka ke jis main,
Jab soch samajh kar hi har aik kaam kiya jaaye,

Shayed woh palatt aaye kabhi shabb ka musafir,
Roshan hi chiraaghon ko sar-e-shaam kiya jaaye,

Kal shaam yeh ghar chorr to dena hai humen bhi,
Behtar hai ke kuch waqff dard e baam kiya jaaye,

Faizan yeh duniya to hai bazaar ki suurat,
Hai kiss ko khabar kal kisse neelaam kiya jaaye..


send poetry

Faizan Arif, Ghazal Shayari
May 18th, 2015

Comment here

Your Comment: