Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed..

Ghar ka rasta bhi mi..

Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed,
Raah me sang-e-wafaa tha shayed,

Is qadar taiz hawa ke jhonke,
Shaakh pr phool khila tha shayed,

Jis ki baaton ke fasaane likhe,
Us ne to kuch na kaha tha shayed,

Log be-mehr na hote honge,
Veham sa dil ko hua tha shayed,

Tujh ko bhoole to dua tak bhoole,
Aur wohi waqt-e-duaa tha shayed,

Khoon-e-dil mei to duboya tha qalam,
Aur phir kuch na likha tha shayed,

Dil ka jo rang hai yeh rang-e-adaa,
Pehle ankhon mei rachaa tha shayed..


send poetry

Ada Jafri, Ghazal Shayari
April 11th, 2015

Comment here

Your Comment: