Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain..

Hamari aankhain bhi ..

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru* aankhain,
Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain,

Hamaisha rehti hain teri talash main janaan,
Hamaisha kerti hain teri hi aarzu aankhain,

Na janay konsay jalwon ki justuju hai inhain,
Bhatak rahi hain faza main jo chaarsu aankhain,

Ye mojza bhi to kuch kam nahi k shaam_o_sehar,
Tumharay hijer main rehti hain baa’wazu aankhain,

Tera firaq, teri justuju, teri hasrat,
Ye zakhm zakhm tabasum lahuu lahuu aankhain,

Naseeb mera bhi roshan ho surat_e_mehtaab,
Kbhi jo ker dain mohabat ko surkhruu aankhain,

Bicher ke tujh say main zinda na reh sakon shayad,
Na phairna kabhi meri taraf say tuu aankhain,

Tumhain jo choo lu’n to hathon say khushbuyen phutain,
Tumhain jo daikhoon to ho jaen khobru aankhain,

Jahan labon ko hilana bhi jurm ho Majid,
Wahan isharon main kerti hain guftgu aankhain..

(khoobru;beautiful)

Dr.Majid Deobandi


send poetry

Ghazal Shayari
October 22nd, 2012

Comment here

Your Comment: