Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur..

Ho jaaye gi jab tum ..

Ho jaaye gi jab tum se shanasaayi zara aur,
Barrh jaye gi shaayed meri tanhaayi zara aur,

Kyuun khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
Ae kaash ke hoti meri gehraayi zara aur,

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sako ge,
Yeh uljhii hui ddor jo suljhaayi zara aur,

Tardeed to kar saktaa tha phaile gi magar aur,
Iss taur bhi hogi teri ruswaayi zara aur,

Kyun tark-e-talluq bhi kiya laut bhi aaya,
Achaa tha ke hotaa jo woh harjaayi zara aur,

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
Yeh khauf hai lekin jo hawaa aayi zara aur,

Larrna wahin dushman se jahaan ghayr sako tum,
Jeeto ge tabhi hogi jo paspaayi zara aur,

Barrh jayen ge kuch aur lahuu bechne wale,
Ho jaaye agar sheher mein mehngaayi zara aur,

Ik duubti dharrkan ki sadaa log na sun lein,
Kuchh dair ko bajne do yeh shehnaayi zara aur..


send poetry

Aanis Moeen, Ghazal Shayari
April 23rd, 2015

Comment here

Your Comment: