Ik umar chale aur ghar nahin aya..
Ik umar chale aur gh..
Azaab yeh bhi kisi aur pr nahin aya,
Ke ik umar chale aur ghar nahin aya,
Is ek khawb ki hasrat main jal bujhi ankhen,
Woh ek khawb ke ab tak nazar nahin aya,
Karen to kis se karen na-rasayion ka gila,
Safar tamaam hua hamsafar nahin aya,
Dilon ki baat badan ki zubaan se keh dete,
Yeh chahte thay magar dil idar nahin aya,
Ajeeb hi tha mere daur-e-gumraahi ka rafiq,
Bicharr geya to kabhi laut kar nahin aya..
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Iftikhar Arif
May 31st, 2016
Azhar Shah
June 5th, 2016 at 5:51 am
Very nice, loved it.