Janay ki jaldi thi

Janay ki jaldi thi..

Tumhain janay ki jaldi thi?.
So apni jald baazi main
Tum apnay lams ki kirnain..
Nazar k zaviye..
poaron ki shamain
Mere seene main bharakta chhor aye ho?
Wahan takiye k neechay
Kuch sunehray rung ki tooti hui saansain
Kisi nozayeda khushbu k taza khuwabchay
Bistar ki shiknon main giray kuch khoobru lamhay
Dressing room main hanger se latki aik sud rangi hansi ko
Bas achanak hi pas-e-parda latakta chhor aye ho
Tumhain janay ki jaldi thi ab aisa hay k jab bhi
Be-khayali main sahi..!
lekin
kabhi jo is taraf niklo
To itna yaad rakhna?!!
Ghar ki chaabi saddar darwazay k bayen hath par
Aik khoal main rakhi milay gi
Or tumhain maaloom hay
kapron ki almaari hamesha se khuli hay
safe ki chaabi to tum ne khud hi gumm ki thi
So woh tab se khula hay or us main kuch
Tumhari choorian ?
aik aadh angoothi or un k beech
Kuch zard lamhay
or un lamhon ki girhon main bandhi kuch lams ki kirnain
Nazar k zaviye ?
poaron ki shamain
or sunehray rung ki tooti hui
Saansain milain gi
Or woh sab kuch jo mera or tumhara
Mushtarka sa ek asasa hay
Simat paye to le jana?!!
k abb
Mujhay janay ki jaldi hay


send poetry

Ghazal Shayari
August 8th, 2011

Comment here

Your Comment: