Jee janta hai

Jee janta hai..

Lutf wo ishq mein paye hain k jee janta hai
Ranj bhi itne uthaye hain k jee janta hai

Jo zamane k sitam hain wo zamana jane
Tu ne Dil itne dukhaye hain k jee janta hai

Tum nahi jante ab tak Ye tumhare andaaz
Wo mere Dil mein samaye hain k jee janta hai

Inhi qadmon ne tumhare inhi qadmon ki qasm
Khaak mein itne milaaye hain k jee janta hai

Dosti mein teri dar-parda hmare dushman
Is qadar apne paraye hain k jee janta hai


send poetry

Ghazal Shayari
June 11th, 2011

Comment here

Your Comment: