Jo dil ne kahi woh lab pe kahan ayi hai dekho

Jo dil ne kahi woh l..

jo dil ne kahii lab pe kahaa.N aa_ii hai dekho
ab mahafil-e-yaaraa.N me.n bhii tanhaa_ii hai dekho

phuulo.n se havaa bhii kabhii ghabaraa_ii hai dekho
Guncho.n se bhii shabanam kabhii kataraa_ii hai dekho

ab zauq-e-talab vajah-e-junuu.N Thair gayaa hai
aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaa_ii hai dekho

[vajah-e-junuu.N = reason for madness]
[baa_is-e-rusvaa_ii = reason for disgrace/disrepute]

Gam apane hii ashko.n kaa Khariidaar huaa hai
dil apanii hii haalaat kaa tamaashaa_ii hai dekho


send poetry

Ghazal Shayari
April 24th, 2010

18 comment

  1. Mai khud ko dhundh raha hu…. Laakho parchaiyo me mai khho gaya hu…… ! Milte rehte hai mujhe senkdo log rozana.. Par mai har daur me tanha tha , iss par shikayat kya mai aaj bhi tanha hu … Mai khud ko dhundh raha hu…….! Ulfat ke baazaro me maine dhundha mai na mila.. Milan ke mazaaro par maine dekha mai na tha , mai waqt ki gumshuda fehrisht se gum tha ! Purani maili si kitabo me ab mai na raha… Koii meri taqdeer se kya gaya.. mai tehriro me baaki na raha… Mai khud ko dhundh raha hu……! Ye andhera raasta jis se milta hai wo aashiyane me ik chirag jalta hai….. Uski Deewaro par kuch tasweere hai purani, uss par haatho se chhune ke nishan baaki hai…. Farsh ki dhul par kuch pairo ke nishaan hai naye.. Lagta hai yaha koii aaya tha ! Uss nishan par Qadam rakhte hi maine paya wo mera tha… Tab khayal aaya mai yaha aa kar nikal chuka tha… ! Mai khud ko dhundh raha hu……! suno………….. Mai tumhe kabhi kahin mil jaau…… Mera khayal rakhna kahin mai phir se khho na jaau…. ! Mai apni pehchan tumhe kya batau ! Khud ki khoz me mai khud ko bhul chuka hu…. Mai khud ko dhundh raha hu……!

  2. Samandar kya karen ge qatra-e-shabnam chura lae’n
    Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura lae’n
    Baharo’n k chaley janey khiza’n aney ka dar na ho
    Koi aisa muhabbat ka naya mosam chura lae’n
    Khabar ho neend ki paryo’n na hi khwabon ki devi ko
    Tumhe’n palko’n ki doli mein bitha kar hum chura lae’n
    Hame’n jazbat k sehra ko bhi sairab karna hai
    kisi tootey huey insa’n ki chashm-e-nam chura lae’n
    Tumhara sath hai to aik bus apna jeewan kyun
    Jaha’n walo’n ki sari umr aao hum chura lae’n
    Sada ki muskurahat un k honto’n pe sajaney ko
    Chalo Shahi zara chupkey se un k ghum chura lae’n
    Yaseen Shahi
    Selected from “Muhabbat ka naya Mausam”

  3. Nazm:”Abhi kuch kaam karney hain”
    Abhi rona hai
    zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
    abi to zehn ko
    teri judaee k liye tayyar karna hai
    abhi to akhri lamho’n mein tum ko pyar karna hai
    abhi to qarya qarya
    hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
    abhi yeh kaam hona hai
    lab-e-sahil kharey ho kar
    zuban-e-khamshi mein janey kitni bate’n karni hain
    tumhare naam sari rate’n karni hai
    wo jitney din mere jeewan k baqi hain
    tumharey naam karney hain
    abhi kuch kaam karney hain
    abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke’n ge
    abhi to you’n bhi hona hai
    k teri jheel si ankho’n mein
    mujh ko doob jana hai
    abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
    ankho’n mein basana hai
    abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
    hatho’n mein tumhara haath thamey
    haa’n kisi weera’n sarak pe
    chandni raato’n mein kitni door jana hai
    abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
    kisi k paas aney ka
    kisi k door janey ka
    abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
    abhi to you’n bhi hona hai
    tere daman pe girney se zara pehley
    tere ashko’n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
    tumhe’n ik akhri khat bhi to dena hai
    abhi to husn ko palko’n ki dori mein pirona hai
    abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
    abhi ruk jao
    na jao
    abhi kuch kaam karney hain.
    Poet:Yaseen Shahi

  4. waqt thora hai guzara nahi jata mujh se
    zeest ka qarz utara nahi jata mujh se
    taaq se lafz utara nahi jata mujh se
    shair is tor nikhara nahi jata mujh se
    mera rehber hai to phir meri taraf dhyan bhi kar
    har qadam par to pukara nahi jata mujh se
    daikh kar mujh ko tujhay Husn-e-atam yaad aye
    is qadar khud ko s’nwara nahi jata mujh se
    aaj tak jeet meri ho na saki hai lakin
    baat you’n bhi hai k hara nahi jata mujh se
    aasteeno’n mein palay sa’np dasain ge yasir
    aur asar zehr ka mara nahi jata mujh se
    Poet:Yasir waheed

  5. how can i send you my posts.there is no button found for this.
    Apney jazbaat ankh mein rakh lo
    Bus yehi baat ankh mein rakh lo
    Zindagi to safar hai sehra ka
    Thori barsaat ankh mein rakh lo
    Din se jana?n kabhi chhupa k mujhey
    Sirf ik raat ankh mein rakh lo
    Main hu?n mehwar tumhari chahat ka
    Tum meri zaat ankh mein rakh lo
    Jin se khwabo?n mein rang bhar jae?n
    Aisey lamhaat ankh mein rakh lo
    Shahi hum se wafa parasto?n ki
    Koi to baat ankh mein rakh lo

  6. Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain
    Narm jhonkey kabhi toofaan bhi ho jatey hain

    Hum ne mehboob jo badla to ta?ajub kesa
    Log kafir se musalman bhi ho jatey hain

    You?n to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
    Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain

    Shehr bhar ko main muhabbat to sikha du?n lakin
    Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain

    Hum to purkho?n ki riwayat ko nibhaney ki liye
    Hurmant-e-ishq pe qurban bhi ho jatey hain

    Hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
    Rastey pyar k aasaan bhi ho jatey hain.
    By:Yaseen Shahi

  7. Waqt har cheez ka imkan badal sakta hai
    Ain mumkin hai tera dhyan badal sakta hai

    Zindagi mein hai faqat teri muhabbat ki kami
    Tu meri zeest ka unwan badal sakta hai

    Ab teri yaad to is dil se nikalney se rahi
    Apni taqdeer kab insan badal sakta hai

    Hum faqat wasl k qaail to nahi chahat mein
    Kab hame?n hijr ka toofan badal sakta hai

    Le k phirta hai tere ghum ka hawala shahi
    Tu jo chahey to yeh pehchan badal sakta hai.
    By:Yaseen Shahi

  8. pl send your more latest Ghals

    iqbal

    Saudi arab

  9. TU BHI JA Ae MOOJE HAWA KAHAN AB RUKE GA KON MARE LIYE M TOH TANHA HO GYA

  10. Sir this is not my poetry.Its only my collection from “Muhabbat ka naya mausam” by Yaseen Shahi.
    thanx

  11. x

  12. hello

  13. Apne hi Hote Hain Jo DIL pe Waar kartay hain “Wasi”
    Gairon ko Kya Khabar DIL Kis Baat pe Dukhta Hai…….

  14. Waqat badalta hai zindagi ke saath.
    zindagi badalti hai mohabbat ke saath.
    mohabbat nahi badalti apno ke saath.
    bus apne badal jate hain waqat ke saath.

  15. whaa MasAllah

  16. zamane ko jalne do chalo aik saht chalty hain,
    nai duniya basane ko chalo aik sath chalty hain.
    suna hai saht chalne se mukadar jag utha hai.
    yehi bat azmane ko chalo aik sath chalty hain.

  17. good

  18. wo jo geet tum ne suna nahi meri umar bhar ka riaz tha …………………………..mere dard ki thi wo dastaan jisey tum hansi main ura gaey.

Comment here

Your Comment: