Jo guzar gya so guzar gya

Jo guzar gya so guza..

Na gila kia na khafa hue

unhi rasty main juda hue

na wo bewafa, na main bewafa

jo guzar gya so guzar gya

wo ghazal ki aik kitab tha

wo gulon main aik gulab tha

zara dair ka koi khawab tha

jo guzer gya so guzer gya

wo udas dhoop samait ker

kahinwadiyon main uter gya

usy ab na de mery dil sada

jo guzer gya so guzer gya

ye safer bhi kitna taveel tha

yahan waqt kitna qaleel tha

ab loat kr kon aye ga?

jo guzer gya so guzer gya


send poetry

Ghazal Shayari
December 9th, 2009

One comment

  1. bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
    narm jhonkey kabhi toofan bhi jatey hain
    hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa
    log kafir se musalman bhi ho jatey hain
    yu’n to ik dard ka rishta hai sabhi logo’n se
    log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
    shehr bhar ko main muhabbat to sikha doon lekin
    khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
    hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
    rastey pyar k asan bhi ho jatey hain.

Comment here

Your Comment:

Next: »