kabhi sochna kabhi bhoolna

kabhi sochna kabhi b..

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar,
Tujhe de gi jeene ka hosla, meri yaad rakh le sambhal kar,

Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna,
Jo na bujh sake wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kar,

Gham-e-arzu meri justju, mei simat ke aa gaya ru-baru,
Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mei jawab doon tu sawal kar,

Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi,
Tujhe rokna meri mot hai, meri be`bsi ka khayal kar,

Mre dard ka, mre zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka,
Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr


send poetry

Ghazal Shayari
May 8th, 2011

2 comment

  1. very nice ur sentence.

  2. Tum par guzray gi to tum b jano gay

    “AARMAN”
    ,
    koi apna yaad na karay to kitna dard
    hota hai.
    Tanha mahar

Comment here

Your Comment: