Kabhi yaad aaye to puchna zara apni khawat-e-shaam se..

Kabhi yaad aaye to p..

Kabhi yaad aye to puchana zara apni khalwat-e-sham se,
Kise ishaq tha teri zaat se kise pyar tha tere naam se,

Zara yaad kr ke wo kon tha jo kabi tujhy b aziz tha,
Wo jo jee utha tere naam sy wo jo mr mita tere naam pe,

Humain be’rukhi ka nahi gila ke yehi wafaon ka hai sila,
Magar aisa jurm tha konsa gaye hum Dua-o-Salam se,

Na kabi Visaal ki chaah ki, Na kabi Firaaq mein aah ki,
Ke mera treeqa-e-Bandgi hai, tha juda tareeqa-e-aam se..


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari
September 18th, 2009

One comment

  1. Hi i’m Jamil Saifi main shayar tu nahin hun, magar main beemar hun.. Soch raha hun kese dosto ko vida kahun.

    Chalo dosto mujhe ab vida karo, dosti ka farz akhri salam karke ada karo, mujhe bhool jaana, aansu bakakar mujhe aur na satana, muskurata hua tumhen main dekhna chahta hun, jo hui ho mujhse khata uski maafi chahta hun, aise dard se ab main joojh raha hun, ke bahana maut ka ab main khoz raha, chalo dosto ab mujhe vida karo, baap ka sahara choot raha hai, maa ka dulaara rooth raha hai, kitna hasin hai ye nazar hai, shayad kisi farishte ne meri rooh ko pukara hai, chalo dosto ab mujhe vida karo, waqt na apna zaya karo, koi khush hoga mujhe dukh main dekhkar, koi ro raha hai mujhe tadapta dekh kar, koi mere paas betha hai, koi mujhse door rehta hai, wahin se tum mere liye dua karo, chalo dosto ab mujhe vida karo, dukh ye hai ke tu mujhe gale laga na saki, khushi ye hai ke teri duaon main hai wo asar maut mujhe le jaa na saki… I’m still alive thanks.. 🙂

Comment here

Your Comment: