Kagaz ka ghar

Kagaz ka ghar..

SaFar-E-WaFa ki rah main manzil jafa ki thi
Kagaz ka ghar bna k bhi
khwahish hawa ki thi
Thi jugnuon k shehr main taron say dushmani
Mashooq chaand tha aur tamana subha ki thi
Tum ne tu ibadat ka tamasha bna diya
Chahat namaz ki thi per aadat kaza ki thi
Main ne to zindagi ko teray naam likha tha
Shayd magr kuch aur hi marzi khuda ki thi
Dard hi dena tha to pehly bta daitay
Hum ko bhi azal say hi tamana saza ki thi…


send poetry

Ghazal Shayari
September 12th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »