Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta..

Kahani dard ki main ..

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,
Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..

Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!


send poetry

Ghazal Shayari
May 25th, 2012

4 comment

  1. very very nice poetry. i like it too much.

  2. very nici

  3. kuch samujh mein bi aya hai farooq sahab acha to yeh batayein mohabat hai kiya

  4. Jaanay Zindagi bewafa kyun hoti hai
    Yahaan mohabbat ko saza kyun hoti hai
    Choty sy baat pay bahaa daitay hain khoon
    Insaan main itny anaa kyun hoty hai
    Karta hoon jis baat pay main baar baar toba
    Alahy mujhse wohy khata kyun hoty hai
    Banatay to hain hum apnay hathon say masjid
    Namaz apny hy qaza kyun hoty hai
    Dekha nahein hai jis nay kabhi koi ghum
    Khushi usy ko ataa phir kyun hoty hai
    Rooth chuky hai gar zindagi mujhse
    To maut mujhse khafa kyun hoty hai. Umar raja sarhota No 2 kotli azad Kashmir Pakistan

Comment here

Your Comment: