Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha

Khuli jo aankh to wo..

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha
Dahekti aag thi tanhayi thi fasana tha.

Gumon ne baant liya hai mujhe yuon aapes main
Ki jaise mai koi loota hua khazana tha.

Ye kya ki chand he kadmon pe jhuk ke baith gaye
Tumeh to saath mera door tek nibhana tha.

Mujhe jo mere lahoo main dabo ke guzra hai
Wo koi ger nahin yaar ek purana tha.

Khud apne he haath se ‘Shahzaad’ usko kaat diya
Ki jis taref pahle ye aashiyaana tha.


send poetry

Ghazal Shayari, Sad Shayari
June 3rd, 2011

Comment here

Your Comment: