Kisii titli ko
Kisii titli ko..
Jin chiraaGhoN ko havaaoN kaa koi Khauf nahiN
Un chiraaGhoN ko havaaoN se bachaayaa jaaye
Baagh meN jaane ke aadaab huaa karte haiN
Kisii titli ko na phuuloN se uDaayaa jaaye
Khudakushi karne ki himmat nahiN hotii sab meN
Aur kuchh din yuuNhi logoN ko sataayaa jaaye
Ghar se masjid hai bahut dur chalo yuN kar leN
Kisii rote hue bachche ko haNsaayaa jaaye…!!!!!!
Ghazal Shayari
June 4th, 2011
Comment here
Next: Awal awal ki muhabbat »