kya kya badal gaya !

kya kya badal gaya !..

Aankhoon ka rang, baat ka lehja badal gaya
wo shaks aik sham main kitna badal gaya !
kuch din to mera aks raha aa’ine pay naqsh
phir youn hua kay khud mera chehra badal gaya

jub apnay apnay hall pay hum tum na reh sakay
to kya hua jo hum say zamana badal gaya
qadmon talay jo rait bichi thi wo chal pari
uss ne churaya hath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jaga per nahi rahi
jaatay hi aik shaks kay kya kya badal gaya !
uth ker chala gaya koi waqfay kay darmiya’n
parda utha to sara tamasha badal gaya

hai’rat say saray lafz ussay dekhtay rahay
batoon say apni baat ko kaisa badal gaya
kehne ko aik sehn main deewar hi bani
ghar ki fiza, makaan ka naqsha badal gaya

shayed wafa kay kheel say ukta gaya tha wo
manzil kay pass aa kay jo rasta badal gaya
qa’im kissi bhi haal pe duniya nahi rahi
taabeer kho gaee, kabhi sapna badal gaya


send poetry

Ghazal Shayari
May 6th, 2011

Comment here

Your Comment: