Advertisements
Labon pe phool khiltay hain
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
More Urdu Poetry:
- Woh Thaka Hua Meri Bahon Main Sogaya wo thakaa hua meri baahon men zaraa so gayaa thaa...
- Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka Ghum mein kabhi...
- mausam farishto?n jaisa hai kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke...
- muhabbat Kabhi zindagi ka naam he muhabbat. Kabhi moot ka pegham...
- Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ? Main To Bus...
- kabhi zindagi ka naam kABHI ZINDAGI KA NAAM HY MOHABBAT. KABHI MOUT KA PEGHAM...
- Shabnam Ke Aansoo shabnam ke aaNsuu phool par ye to wahii qisaa huaa,...
- Dard ke phool Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain Zakhm...
- Tumhari Yaad Ka Mausam… koi mausam ho dil meN hai tumhaari yaad ka mausam...
- Main Bhool Jaoon Tumhe, Ab Yahi Munaasib Hai Main Bhool Jaoon Tumhe, Ab Yahi Munaasib Hai Magar Bhulana...
- Kabhi yaad hi nahi aaya To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya? Kisi...
- Phool Khila Kartay Thay Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay Man Me Hi...
- terii Khushbuu kaa pataa terii Khushbuu kaa pataa karatii hai terii Khushbuu kaa pataa...
- You To Duain Roz Kia Kertay hain You To Duain Roz Kia Kertay hain Bas Kisi terha...
- Diye Jal Jaate Hain Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain Kyon Aankhein...
Advertisement


















