Mariz-e-Muhabbat

Mariz-e-Muhabbat..

Hamara Yeh Tum Ko SALAAM Aakhri Hai
SunO Aj Tum Say Kalaam Aakhri Hai

Agar Ho Sakay To Bhula Dena Hum Ko
Yehi Ek ChOhta Sa Kaam Aakhri Hai
……
Abhi AarZoun Kay Sehraa PyaaSe Hain
Magar AnsOun Ka Yeh Jaam Aakhri Hai

Teri BewafaYe Ka Shikwaa Aakhri Hai
Yehi To WafaOn Ka Inaam Aakhri Hai

Mariz-e-Muhabbat Ka Aye Chaara SazO
TumHare Shehar Main Yeh Shaam Aakhri Hai

Zara Dair TehrO QaZaa Kay FariShtOn
LabOn Pay Hamara PaYaam Aakhri Hai

Koi MiL Sake Ga Na Hasrat Sa Jesa
Teri AdaOn Ka Yeh GhuLaam Aakhri Hai


send poetry

Ghazal Shayari
April 3rd, 2011

2 comment

  1. <codeshaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhiikyo.n varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii[sharaar = spark; iztiraar = restlessness]dhyaan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad kaamilane ko mil gayaa hai sukuu.N bhii qaraar bhii[marg-e-dil-e-naamuraad = death of an unsuccessful/unlucky heart]ab Dhuu.NDhane chale ho musaafir ko dostohadd-e-nigaah tak na rahaa jab Gubaar bhii[hadd-e-nigaah = (to the) limits of one’s vision]har aastaa.N pe naasiyaa_farsaa hai.n aaj vojo kal na kar sake the teraa intazaar bhii[aastaa.N = threshold; naasiyaa_farsaa = one who rubs his forehead][ik raah ruk ga_ii to ThiThak kyo.n ga_ii ‘Ada’aabaad bastiyaa.N hai.n pahaa.Do.n ke paar bhii>

  2. As-salam-ai-lekum !!!
    mansha- alaah itni behtareen site ubi tak maine koi nahi dekhi …..
    the collection is so gud…..and Allah-Paq ki kasam mere pas wo shabd nahi hai jisse mai tareef kar saku…..
    Haroon bhi ko mai salute karta hu ,,,,,
    jab mai bahut gam me hota hu, aap ki site visit karte hi sab kuchh bhool jata hu ……
    Allah aap ko barakkat de…

Comment here

Your Comment:

Next: »