Masoom bachpan ko

Masoom bachpan ko..

chalo phir dhoond laayn ham
usi masoom bachpan ko
usi masoom khushiyon ko
usi rangeen lamhon ko
jahan gham ka pata na tha
…jahan dukh ki samjh na thi
jahan bas muskuraahat thi
baharen hi baharen then
k jab saawan barsta tha
to us kagaz ki kashti ko
banana or dabo dena
buhat acha sa lagta tha
or is duniya ka har cehra
buhat sacha sa lagta tha

CHALO PHIR DHOOND LAAEN HAM
USI MASOOM BACHPAN KO


send poetry

Ghazal Shayari
March 6th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »