Mere Saath Na Chal

Mere Saath Na Chal..

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal

Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi
Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal…….

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise
Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……

Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal……


send poetry

Ghazal Shayari
March 5th, 2011

Comment here

Your Comment: