Mere zarf ke mutabiq bijliyan girana

Mere zarf ke mutabiq..

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana
Jitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana

Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko
Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana

Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana
Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana

Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai
Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana

Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy
Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.


send poetry

Ghazal Shayari
October 6th, 2011

One comment

  1. I love this Ghazal too much and tried to find the poet’s name but couldn’t. Can any one tell me who is the poet??

Comment here

Your Comment: