Meri chahat ka safar is liye dushwar raha

Meri chahat ka safar..

Meri chahat ka safar is liye dushwar raha
Main mohabat may wafaon ka talabgar raha

Ho gaye sare gilay door juda hotay hi
Ghamzada wo hai na main uska talabgar raha

In hawaon may ab dhundta phirta hun usay
Jin hawaon se kabhi barsar-e-pekaar raha,

Na muradi k siwa hijr k aaram bhi thay
Phir zamane ka zamana hi sitam gaar raha,

Jasb-e-shoq ne us waqt bhi chaha tujhko
Jab wo shokhi na wo gaisu na wo rukhsar raha,

Aik hasrat si mere dil mey kahin aur bhi thi
Har badalti hui rut mey gham-e-dildar raha

Is qadar hamsafri se tha harasan wo shakhs
Saath hi chor gaya dasht k us paar raha…


send poetry

Ghazal Shayari
September 24th, 2009

4 comment

  1. Kuch Is Tarha Se Uay Pyaar Karna Parta Hai,
    K Apnay Pyaar Se Inkar Karna Parta hai,

    Kabhi Kabhi Toh Woh Itna Qareeb Hota Hai,
    K APnay Apko Dewaar Karna Parta Hai,

    Khuda Ne Usko Ataa Ki Hai Maseehaai,
    K Khud Ko Jaan K Beemar Karna Parta Hai,

    Wafa Ki Raah Mein Dushwariyaan Toh Ati Hain,
    Wafa Ki Raah Ko Humwaar Karna Parta Hai,

    Woh Haath Rakh K Mere DIL Par Jab Bhi Puchta Hai,
    Toh Mujhko Dard Se Inkaar Karna Parta Haii???!!!!

  2. very nice shairi….awesome….

  3. adab arse.

  4. VERY NICE & BEAUTIFUL

Comment here

Your Comment: