Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon..

Mohabbat ki duniya m..

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon,
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,

Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho,
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,

Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se,
Jo tu paas ho to usey door kar doon,

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,

Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen,
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,

Tu agar samney ho to mein be’khudi mein,
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,

Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar,
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon..

Akhtar Sherani


send poetry

Ghazal Shayari
January 29th, 2013

One comment

  1. nice

Comment here

Your Comment: