Mumkin ho to bhula dijiyey mujhay

Mumkin ho to bhula d..

Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay

Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay

Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash’heer ja baja
hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay

Qaim tou ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faida
Hai tairgi tou aag laga dijiyey mujhay

Jaltey dinoon main khud pas deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay

Youn tou shoola-e-jaan sard ho chuka
Laikin sulag uthoon tou hawa dijiyey mujhay


send poetry

Ghazal Shayari
September 16th, 2009

One comment

  1. very nice poetry i love itttttttt

Comment here

Your Comment: