Na bikhar sake
Na bikhar sake..
Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak
Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak
……
Yahan har taraf hai ajab samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak
Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak
Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak
Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair …!!
Ghazal Shayari
March 20th, 2011
m.k
April 8th, 2011 at 2:09 pm
quran ki hidayat bhol gy afsos k hum rafta rafta ahkam e shariat bhol gy
m.k
April 8th, 2011 at 2:12 pm
Kuch is ki khabar bhi hai tujhko
Wo roz-e-mehshar kya hoga
Jis aag ka indhan insan hai
Us aag ka aalam kya hoga
Ye jism gawahi khud de ga
Har hissa badan ka boley ga
Khamosh zuban ho jaye gi
Us waqt ka aalam kya hoga
Kuch is ki khabar bhi hai tujhko
Wo roz-e-mehshar kya hoga