Pehale pehal ka ishq abhi yad hai

Pehale pehal ka ishq..

Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon

ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon

har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon

duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon

pahale pahal ka ishq abhi yad hai ‘faysal’
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon


send poetry

Ghazal Shayari
September 17th, 2009

One comment

  1. VERY NICE POETRY, I LIKE YOUR WAY TO CANVAY YOUR WORDS

Comment here

Your Comment: