Phoolon Ko Aag Lag Gayi

pholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeey
sooraj ki taiz dhoop main lumhaat jal gayeey

ub daaman_e_hayat main kuch bhi nahi raha
furda ki surd aag main halaat jal gayeey

kaliyaa’n chatuk rahi hain k shakhoo’n pai aablay
ghunchoo’n ki nukhatoo’n say mere haath jal gayeey

ub kay baras , bahar baseerat ko dass gaiee
fikr_o_nazar kay jhoomtay baghaat jal gayeey

saghar lutay lutay hain , sitarey bujhay bujhay
shayad mere naseeb kay din raat jal gayeey.

  • Share/Bookmark

January 27, 2010  Tags:   Posted in: Ghazal Shayari

More Shayari


Leave a Reply