pyasay to samandar ki taraf jatey hain

pyasay to samandar k..

kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
raastay saray teray ghar ki taraf jatey hain

ik junoo’n hai jo mujhay dasht mai le jata hai
warna pyasay to samandar ki taraf jatey hain

aik mai hoo’n k nikal jata hoo’n rehzann ki taraf
karva’n walay to raahbar ki taraf jatay hain

koi to hai pas e deevar chaman jiss k liye
zavye nazro’n k manzar ki taraf jatay hain

aik hi chaut mai ho jayengay raiza raiza
aainay kiss liye patthar ki taraf jatay hain

zaur e bazoo say bana saktay hain takdeer jo laug
janay kyu’n qaid e muqaddar ki taraf jatay hain

NAAZ anjani si khaahish hai jo le jati hai
laug kab uss boot e kafir ki taraf jatay hain


send poetry

Ghazal Shayari
January 11th, 2011

Comment here

Your Comment: