Sawal Uthne Lage Hain Phir

Sawal Uthne Lage Hai..

Mohabbat Mein Tamanna Kufr Hai Esa Nahi Karte,
Kisi Tajir Ki Tarha Ishq Mein Sauda Nahi Karte.

Sawal Uthne Lage Hain Phir Maseehai Ke Bare Mein,
Agar Ho Charagar To Kyon Hume Achcha Nahi Karte.

Naqab e Rukh Ulat Do Aeene Se Yun Na Sharmao,
Ke Mehram Se Kabhi Mehram Kaheen Parda Nahi Karte.

Na Ho Mayoos Ae Zoq e Junoon Too Bo’ud e Manzil Se,
Mohabbat Karne Wale Rah Mein Thera Nahi Karte.

Duhai De Rha Hai Kyon Faqeeh e Shaher Azmat Ki,
Nasab Wale Kaheen Kya Ishq Farmaya Nahi Karte.

Misaal e Mahi e Be Aab Meri Jaan Nikal Jaati,
Are Itna Taghaaful Aap Yeh Achcha Nahi Karte.

Hua Jo So Hua Manzar Miyan Khak Bhi Dalo,
Gae Waqton Ki Baten Hain Unhe Socha Nahi Karte.


send poetry

Ghazal Shayari
September 22nd, 2009

6 comment

  1. hi
    this is great one
    yara kan u send me
    me apney hi nashay me khoya huwa tha na dunya ki dhon thi ur ………
    ek chanchal si larki meri zindagi me you aei

  2. hey…
    friend duniya main sub sa bura nasha hai pyaar k wo is liya k hum is ko apna dil k sath sath mind ma bhi rakh ta hai aur apni girlfriend ya boyfriend ko week point da ta hai k hum us k bin jee nahi sakta per insaan chaya to sub kuch KAR sak ta hai mera un logo k liya jo in problem sa guzar rahay hai i want to solve ur problems agar app logo ko acha laga to so plz …aur haan zindagi ma koi chor kar chala jay aur wo zinda ho to sabar aa na mushkil hota hai aur agar wo humsha k liya is duniya sa chala jay to wk waqt aa ta hai k sabar aa jata hai..ya samaj lo main har kisi k masla ko apna masla smaja kar solve kar na chati ho plz mail me aur tell me ur problems…zindagi bhot choti hai aa ta howa azan aur jata waqt namaz so is ko sukoon sa jeo…i am waiting for ur answers aur main un logo sa request kar li ho jo apni stories sun na ya kisi ko lesson da na chata ho to plz mujhe sa concet karo..q k main is per hi kaam kar rahi ho…plz ma

  3. wafa_dotcom@yahoo.com

  4. hi2 my jan mara dosti bano ga my love

  5. man tara id loooooooooo

  6. mana tara id la laya

Comment here

Your Comment: