Shab-e-Gham

Shab-e-Gham..

Jahan Phooloun ko khilna tha, Waheen Khiltey To Acha Tha,
Tumhi ko Humne Chaha Tha , Tumhi Miltey To Acha Tha.

Koi Aa kar Humein Pooche, Tumhein Kaise Bhulaya Hai,
Tumhare Khat ko Ashkoun se, Shab-e-Gham mein Jalaya Hai
Hazaroun Zakhm Aise Hain , Agar Silte To Acha Tha.

Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.”

Tumhein Jitna Bhulaya Hai, Tumhari Yaad aayi Hai,
Bahar-e-No Jo Aayi Hai , Teri Khusboo Bhi Laayi Hai.
Tumhare Lab Meri Khatir, Agar Hiltey To Acha Tha.

Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.

Mila Hai Lutf Bhi Humko, Haseen Yaadoun ki Jhilmil mein,
Kati Hai Zindagi Tum Bin , Magar Ek Aas Hai Dil Mein.
Agar Aate To Acha Tha , Agar Miltey To Acha Tha.

” Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha


send poetry

Ghazal Shayari
June 4th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »