Tarha tarha ka azaab kiyon

Tarha tarha ka azaab..

Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?

Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.

Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.

Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,

Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.

Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.

Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.

Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay


send poetry

Ghazal Shayari, Sad Shayari
September 18th, 2009

2 comment

  1. Adil khan rahula my village
    Infact verry impressive

  2. Nice poetry

Comment here

Your Comment: