Tere pehlo se

Tere pehlo se..

kaun kehta hay k maut aayi tu mar jaonga
main tu dariya hoon samandar mein utar jaonga

tere pehlo se jo uthoonga tu mushkil yeh hay
sirf ek shakhs ko paonga jidhar jaaonga

ab tere shehar mein aaonga musaafir ki tarah
saaya e abr ki maanind guzar jaonga

tera paimaan e wafa rah ki deewar bana
warna soocha tha jab chahonga mar jaonga

chaara saazooN se alag hay mera miyaar k main
zakham khaonga tu kuch aur sanwar jaonga

ab tu khursheed ko doobay hoye sadiyaaN guzri
ab usay dhoondhnay mein taa baa sehar jaonga

zindagi shamma ki maanind jalaata hoon Nadeem
bujh tu jaonga magar subha tu kar jaonga…


send poetry

Ghazal Shayari
May 28th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »