Teri yaad kahin rakh kar bhool gaya hoon

Teri yaad kahin rakh..

Socha tha pehlay kar loon woh kam jo mujh ko karnay hain
Phir tou saray mah o sal usi kay sath guzarnay hain

Jub yeh farz ada kar loonga jub yeh qarz utaroon ga
Umr ka baqi hissa teri yad kay sath guzaroon ga

Aaj faraghat patay hi mazi ka daftar khola hay
Tanha’ee main baith kay apna ik ik zakhm tatola hay

Chan chuka hoon jism o rooh per aa’ee hu’ee kharashoon ko
Ulat pulat kar dekh liya hay arman oon ki lashoon ko

Kamray main rakha tha usay..ya dil main kahin dafnaya tha
Janay woh anmol khazana main nay kahan chupaya tha

Sari umr ka hasil thi yeh khonay wali cheez na thi
Soch raha hoon yad tiri gum honay wali cheez na thi

Warq warq dekha hay ap ni gard alood kitaboon ko
Jaisay koi bedari main dhoond raha ho khawaboon ko

Muddat say jo bund pari thi woh almari dekhi hay
Zang lagay sandooq ki her sha’ay bari bari dekhi hay

Kamray main phaila kar main nay suit puranay dekh liyay
Apni likhnay wali maiz ka saray khanay dekh liyay

Aql kay hathoon say bhi aksar nadani ho jati hay
Bohut sanbhaal kay rakhnay per bhi cheez kabhi kho jati hay

Apnay saray ghar waloon ko deewa na sa lagta hoon
Is kamray say us kamray main khoya khoya phirta hoon

Soch samjh kar dunya ki nazroon say chupa kar rakha tha
Main nay tou is yad ko apnay liyay bacha kar rakha tha

Teri yad kahin rakh kar main bhool gaya hoon


send poetry

Ghazal Shayari
April 30th, 2010

One comment

  1. Yaad to hum b karte h unhe,
    Yaado se kuch dua bhejte h khuda ko bhi,
    Lekin loutkar aa jati h har dua,
    Pta nhi khuda kb kabul karega meri dua.
    Naresh soni.

Comment here

Your Comment: